zaKHm dil ka KHun-chakan aisa na tha
ab se pahle jaan-sitan aisa na tha
larza-bar-andam hai qasr-e-yaqin
aadmi said-e-guman aisa na tha
phuljhaDi si chhuTti thi raat-din
shahr-e-jaan tira-nishan aisa na tha
phul jo the aarzu ke jal gae
shoala shoala gulistan aisa na tha
zist ki rah mein balaen thin magar
mere sar par aasman aisa na tha
shaKH-e-gul thi titliyon ke par bhi the
gulshan-e-dil be-aman aisa na tha
Ghazal
ZaKHm dil ka KHun-chakan aisa na tha
Alqama Shibli