zaKHm ab tak wahi sine mein liye phirta hun
kufe walon ko madine mein liye phirta hun
jaane kab kis ki zarurat mujhe paD jae kahan
aag aur KHak safine mein liye phirta hun
ret ki tarah phisalte hain meri aankhon se
KHwab aise bhi KHazine mein liye phirta hun
ek nakaam mohabbat mera sarmaya hai
aur kya KHak dafine mein liye phirta hun
dil pe likkha hai kisi aur pari-zad ka nam
naqsh ek aur nagine mein liye phirta hun
is liye sab se alag hai meri KHushbu 'ami'
mushk-e-mazdur pasine mein liye phirta hun
Ghazal
ZaKHm ab tak wahi sine mein liye phirta hun
Imran Aami