zaKHm ab dil ke chamak dete hain hiron ki tarah
hum tere shahr mein rahte hain amiron ki tarah
kar diya qaid hamein waqt ki diwaron ne
warna hum log bhi the chhuTte tiron ki tarah
sham ko Dubte suraj ki chamakti surKHi
dur tak phail gai KHuni jaziron ki tarah
jab bhi aati hai koi fitna jaga deti hai
teri muskan tere lab pe shariron ki tarah
ye mila mujh ko sila meri wafa ka sirat
likh diya nam mera us ne lakiron ki tarah

Ghazal
ZaKHm ab dil ke chamak dete hain hiron ki tarah
Mohan Seerat Ajmeri