zahrab pine wale amar ho ke rah gae
naisan ke chand qatre guhar ho ke rah gae
ahl-e-junun wo kya hue jin ke baghair hum
ahl-e-KHirad ke dast-e-nigar ho ke rah gae
sahra gae to shahr mein ek shor mach gaya
jab lauT aae shahr-badar ho ke rah gae
ummid ke hababon pe ugte rahe mahal
jhonka sa ek aaya khanDar ho ke rah gae
rahon pe dauDte rahe aatish ba-zer-pa
manzil mili to KHak-basar ho ke rah gae
aawaragard misl bagulon ke hum rahe
baiThe to gard-e-rahguzar ho ke rah gae
baDhte rahe sarabon pe manind-e-tishnagi
pani mila to KHushk shajar ho ke rah gae
nazren talash-e-husn mein ja pahunchin ta ufuq
jalwe tamam hadd-e-nazar ho ke rah gae
pabandiyon mein the to dikhate the mojaze
aazadiyon mein shobada-gar ho ke rah gae
Dhaale gae to pattharon se phuT nikle rag
toDe gae to raqs-e-sharar ho ke rah gae
chang o rabab mein rahe manind-e-naghmagi
tegh o sinan mein sina sipar ho ke rah gae
munh jitne utni baaten kahi ja rahi hain aaj
yun mushtahar hue ki KHabar ho ke rah gae
'wamiq' do-dhaari tegh hai wo lahja-e-jadid
naghme tamam KHun mein tar ho ke rah gae

Ghazal
Zahrab pine wale amar ho ke rah gae
Wamiq Jaunpuri