zahr mein Dubi hui surKH hikayat mein gum
dil girafta hai hawa mauja-e-aswat mein gum
munkashif hota hua lamha-e-mazi ka nishan
aankh jhapki thi hua dud-e-KHarabaat mein gum
sham ki saat-e-awwal mein falak par ja kar
hum ne dekha hai samundar ko KHayalat mein gum
unghti raat ke mathe pe chamakti bindiya
dekh kar ho gai nadiya bhi sawalat mein gum
wo jo ek lamha-e-hairan tha subuk-rau tanha
ho gaya hai teri aankhon ke tilismat mein gum
muskuraata pas-e-taswir tha shaista saman
jaane kyun ho gaya nadida mahakat mein gum
wo qarina jise sadiyon ne kiya hai paida
phir na ho jae kahin shorish-e-jazbaat mein gum
Dhal gaya kaise larazte hue taron mein hamid
jo tha aansu meri palkon pe mudaraat mein gum
Ghazal
Zahr mein Dubi hui surKH hikayat mein gum
Sajid Hameed