zahr mein bujhti hui bel hai diwar ke sath
jaise ek naika baiThi ho gunahgar ke sath
mujh se milna hai to ye qaid nahin mujh ko pasand
har mulaqat muqayyad rahe itwar ke sath
ek hi war mein marne se kahin behtar hai
ek ek sar wo jo kaTta rahe talwar ke sath
main ne har-gam pe un logon ko marte dekha
wo jo jite rahe is daur mein kirdar ke sath
ye jahan muflis-o-nadar ka hamdard ho kyun
jis ke har kone pe tahrir hai zardar ke sath
koi shair mere marne ki KHabar laya hai
ek sah-columni surKHi liye aKHbar ke sath
jashn-e-KHun-nab hai maqtal mein mughanni se kaho
koi ek rag naya git ho malhaar ke sath
main bhi is shahr-e-KHamoshan ka hi sakin hun 'umid'
jis ki har lauh pe tahrir hai aazar ke sath
Ghazal
Zahr mein bujhti hui bel hai diwar ke sath
Ummeed KHwaja