zahr ko mai dil-e-sad-para ko mina na kaho
daur aisa hai ki pine ko bhi pina na kaho
na batao ki tabassum bhi hai ek zaKHm ka nam
chaak hai kis liye insan ka sina na kaho
kam-nigahon ka hai farman ki ai dida-waro
kis liye tum ko mila dida-e-bina na kaho
rakh do ilzam kisi mauja-e-masum ke sar
na-KHudaon ne Duboya hai safina na kaho
har nafas maut ki baKHshi hui mohlat jaise
koi jina hai ye jina ise jina na kaho
ye to fankar ki mehnat ka sila hai yaro
mere mathe ke pasine ko pasina na kaho
sang-rezon ko kahin Thes na lag jae 'shamim'
maslahat hai ki nagine ko nagina na kaho
Ghazal
Zahr ko mai dil-e-sad-para ko mina na kaho
Shamim Karhani