zahr in ke hain mere dekhe hue bhaale hue
ye to sab apne hain zer-e-astin pale hue
un ke bhi mausam hain un ke bhi nikal aaenge Dank
be-zarar se ab jo baiThe hain sipar Dale hue
chaak si kar jo hare mausam mein iThlate phire
KHushk-sali mein wo tere chahne wale hue
baDh ke jo manzar dikhate the kabhi sailab ka
ghaT ke wo dariya zamin par rengte nale hue
kaise kaise na-gahani hadse likkhe gae
yaad ke pahle waraq kis kis tarah kale hue
kuchh udasi ban ke phaile us ke ruKHsaron ke gird
kuchh siyah baadal ke TukDe chand ke haale hue
pahle ro lete the ab galiyon ke pheron ka hai shaghl
pahle jo aansu the ab wo panw ke chhaale hue
chhalki har mauj-e-badan se husn ki dariya-dili
bul-hawas kam-zarf do chullu mein matwale hue
khul gae to bu-e-mani har taraf uDti phiri
band ho kar lafz 'baqar' nutq par tale hue

Ghazal
Zahr in ke hain mere dekhe hue bhaale hue
Sajjad Baqar Rizvi