zahr-e-shab viran bistar ai KHuda
karb ek manzar-ba-manzar ai KHuda
main tere shahin ka 'shahpar' ai KHuda
kaun hai mere barabar ai KHuda
kash tu bhi mujh mein aa kar dekhta
Dubte suraj ka manzar ai KHuda
dosti aur dushmani ke nam se
qaid hun kis kis ke andar ai KHuda
zer kuchh baune mujhe kaise karen
in haqiron ki madad kar ai KHuda
bich mein masum sa ek aadmi
har taraf sanpon ke lashkar ai KHuda

Ghazal
Zahr-e-shab viran bistar ai KHuda
Shehpar Rasool