zahr-e-saat hi piyen jism tah-e-KHak to ho
sard aaankhon mein koi KHwahish-e-napak to ho
hum bhi raushan hon utaren ye gunahon ka libas
tu baraste hue pani ki tarah pak to ho
munjamid KHun ragon ka hai ise pi jaen
raat ka zaKHm-e-siyah-rang jigar-chaak to ho
jism-e-KHaki se bhi tanwir ka rishta hai zarur
surKH shoalon se lipaT ja KHas-o-KHashak to ho
aaj phir zehn ki shaKHon pe hain shoalon ke gulab
chashm-e-sang un ko bhi dekhe zara namnak to ho
Ghazal
Zahr-e-saat hi piyen jism tah-e-KHak to ho
Zafar Siddiqui