zahe qismat agar tum ko hamara dil pasand aaya
magar ye dagh kyun kar ai mah-e-kaamil pasand aaya
kiya hai qatl lekin dekhiye jaan kab nikalti hai
ki un ko raqs-e-betabana-e-bismil pasand aaya
wo momin bhi hai mangega dua sidq-e-tanasuKH ki
tere hathon se marna jis ko ai qatil pasand aaya
na puchho kab se main shamil hua hun tira-baKHton mein
kisi ke aariz-e-raushan ka jab se til pasand aaya
ye gustaKHi hai ai 'mahrum' apni had se baDhta hai
ki ta-hadd-e-zamin-e-ghaalib-e-mushkil-pasand aaya

Ghazal
Zahe qismat agar tumko hamara dil pasand aaya
Tilok Chand Mahroom