'zafar' fasanon ki dastanon mein rah gae hain
hum apne guzre hue zamanon mein rah gae hain
ajab nahin hai ki KHud hawa ke supurd kar den
ye chand tinke jo aashiyanon mein rah gae hain
makin sab kuch kar gae hain kisi taraf ko
ab un ke aasar hi makanon mein rah gae hain
suna karo subh o sham kaDwi kasili baaten
ki ab yahi zaiqe zabanon mein rah gae hain
pasand aai hai is qadar KHatir-o-tawazo
jo mehman sare mezbanon mein rah gae hain
hamein hi show-case mein saja kar rakha gaya tha
baDe hamin shahr ki dukanon mein rah gae hain
abhi yahi inqilab aaya hai rafta rafta
jo rone wale the nach ganon mein rah gae hain
alag alag apna apna parcham uTha rakha hai
ki hum qabilon na KHandanon mein rah gae hain
'zafar' zamin-zad the zamin se hi kaam rakkha
jo aasmani the aasmanon mein rah gae hain
Ghazal
Zafar fasanon ki dastanon mein rah gae hain
Zafar Iqbal