zad pe aa jaega jo koi to mar jaega
waqt ka kaam guzarna hai guzar jaega
KHud use bhi nahin malum hai manzil apni
jaane wale se na puchho wo kidhar jaega
aaj andhera hai to kal koi charagh-e-ummid
matla-e-waqt pe suraj sa nikhar jaega
is taraf aag ka dariya hai udhar dar-o-rasan
dil wo diwana ki jaega magar jaega
koi manzil nahin baqi hai musafir ke liye
ab kahin aur nahin jaega ghar jaega
ku-e-qatil mein tahi-dast ko ja milti nahin
jo bhi jaega liye hath mein sar jaega
kitni tariki hai shahr-e-dil-o-jaan par tari
koi andaza nahin kaun kidhar jaega
ek gul-dasta banaya tha pa-e-rahat-e-jaan
ab ye andesha hai har phul bikhar jaega
ek din aisa bhi qismat se mile jab 'aslam'
raqs karta hua mahbub-nagar jaega
Ghazal
Zad pe aa jaega jo koi to mar jaega
Aslam Farrukhi