zabt se na-ashna hum sabr se begana hum
kyun kisi se mangte jaen charagh-e-KHana hum
KHud hi saz-e-be-KHudi ko chheD dete hain kabhi
KHud hi sunte hain hadis-e-saghar-o-paimana hum
dafatan saz-e-do-alam be-sada ho jaega
kahte kahte ruk gae jis din tera afsana hum
sham-e-aiwan-e-haram ho ya charagh-e-taq-e-dair
hum ko donon se talluq hai ki hain parwana hum
dil jala phir KHud jale phir sari duniya jal uThi
soz lae the ba-miqdar-e-par-e-parwana hum
jab hamein diwana banna hai to kaisi maslahat
maslahat ko bhi bana lenge tera diwana hum
bas-ki hai 'simab' be-mehri yaganon ka shiar
hain rahin-e-iltifat-e-KHatir-e-begana hum
Ghazal
Zabt se na-ashna hum sabr se begana hum
Seemab Akbarabadi