zabt ki qaid-e-saKHt ne hum ko riha nahin kiya
dard pe dard uTha magar shor bapa nahin kiya
duniya ne kya nahin kiya hum ne gila nahin kiya
sab se burai li magar tum ko KHafa nahin kiya
jo bhi mutaliba hua uzr zara nahin kiya
ab to nahin kahoge tum wada wafa nahin kiya
umr guzar gai tumhein apna nahin bana sake
sahne ko kya nahin saha karne ko kya nahin kiya
hath mein apna hath do aao hamara sath do
us ka bhi dil to tha magar dil ka kaha nahin kiya
main to mariz-e-ishq hun meri sehat sehat nahin
achchha mujhe nahin kya tum ne bura nahin kiya
shayad wo din bhi aaega jis din kahenge hum se wo
'anjum' main sharmsar hun tera kaha nahin kiya
Ghazal
Zabt ki qaid-e-saKHt ne hum ko riha nahin kiya
Sufia Anjum Taj