zabt kar ke hansi ko bhul gaya
main to us zaKHm hi ko bhul gaya
zat-dar-zat ham-safar rah kar
ajnabi ajnabi ko bhul gaya
subh tak wajh-e-jaan-kani thi jo baat
main use sham hi ko bhul gaya
ahd-e-wabastagi guzar ke main
wajh-e-wabastagi ko bhul gaya
sab dalilen to mujh ko yaad rahin
bahs kya thi usi ko bhul gaya
kyun na ho naz is zehanat par
ek main har kisi ko bhul gaya
sab se pur-amn waqia ye hai
aadmi aadmi ko bhul gaya
qahqaha marte hi diwana
har gham-e-zindagi ko bhul gaya
KHwab-ha-KHwab jis ko chaha tha
rang-ha-rang usi ko bhul gaya
kya qayamat hui agar ek shaKHs
apni KHush-qismati ko bhul gaya
soch kar us ki KHalwat-anjumani
wan main apni kami ko bhul gaya
sab bure mujh ko yaad rahte hain
jo bhala tha usi ko bhul gaya
un se wada to kar liya lekin
apni kam-fursati ko bhul gaya
bastiyo ab to rasta de do
ab to main us gali ko bhul gaya
us ne goya mujhi ko yaad rakha
main bhi goya usi ko bhul gaya
yani tum wo ho waqai? had hai
main to sach-much sabhi ko bhul gaya
aaKHiri but KHuda na kyun Thahre
but-shikan but-gari ko bhul gaya
ab to har baat yaad rahti hai
ghaaliban main kisi ko bhul gaya
us ki KHushiyon se jalne wala 'jaun'
apni iza-dahi ko bhul gaya
Ghazal
Zabt kar ke hansi ko bhul gaya
Jaun Eliya