اردو हिंदी
Zabt kar gham ko ki jine ka hunar aaega | Shaahi Shayari
zabt kar gham ko ki jine ka hunar aaega

Ghazal

Zabt kar gham ko ki jine ka hunar aaega

Subhash Pathak Ziya

;

zabt kar gham ko ki jine ka hunar aaega
baad patjhaD ke bahaaron ka safar aaega

rah sahra ki chala hai to ye bhi sun le tu
sochna chhoD de raste mein shajar aaega

itna KHush bhi na ho tufan guzar jaane par
ye samundar hai yahan phir se bhanwar aaega

jis pe har samt se hi aate rahe hon patthar
kaise us peD pe phir koi samar aaega

aaina hona hi kafi nahin hai kamre mein
saf hoga wo tabhi aks nazar aaega

le ke imdad ka jhuTa sa bahana koi
mujh ko auqat batane wo idhar aaega

apne aaghosh mein le lunga 'ziya' main us ko
raat ko chand jo dariya mein utar aaega