zabt kar aah bar bar na kar
gham-e-ulfat ko sharmsar na kar
jis ko KHud apna eatibar na ho
aise insan ka eatibar na kar
us ke fazl-o-karam pe rakh nazren
apne sajdon ka eatibar na kar
bagh ujaDne ka gham hi kya kam hai
jaane bhi de gham-e-bahaar na kar
log tujh ko haqir samjhenge
had se zaid bhi inkisar na kar
waqt se faeda uTha lekin
waqt ka koi eatibar na kar
lutf uTha bas nigah-e-awwal se
har nazar ko gunahgar na kar
jis se fitne bapa hon duniya mein
aise ghafil ko hoshiyar na kar
'qadr' ko tu ne di hai jab izzat
ai KHuda us ko be-waqar na kar
Ghazal
Zabt kar aah bar bar na kar
Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr