zabt-e-nala dil-e-figar na kar
aag ko aur shoala-bar na kar
shab-e-gham dagh-e-dil ki shama jala
chand-taron ka intizar na kar
shauq se phul chun chaman mein magar
KHar-o-KHas ko zalil-o-KHwar na kar
mah-o-anjum pe Dal baDh ke kamand
past zarron par apna war na kar
gamzan ho jo shauq-e-manzil hai
rah ke pech-o-KHam shumar na kar
aur paida kar apne KHun se phul
raat-din matam-e-bahaar na kar
subh ka saz bhi to chheD zara
sham ka zikr bar bar na kar
sar-nigun ho na maut ke aage
zindagani ko sharmsar na kar
kuchh mizaj-e-gul-o-saman bhi samajh
sirf nazzara-e-bahaar na kar
aag se khelna nahin achchha
bhul kar bhi kisi ko pyar na kar
dusron ka to zikr ishq mein kya
apne dil par bhi eatibar na kar
KHar ko bhi nazar mein rakh 'rana'
gul se andaza-e-bahaar na kar
Ghazal
Zabt-e-nala dil-e-figar na kar
Birj Lal Raana