اردو हिंदी
Zabt-e-gham se siwa malal hua | Shaahi Shayari
zabt-e-gham se siwa malal hua

Ghazal

Zabt-e-gham se siwa malal hua

Manish Shukla

;

zabt-e-gham se siwa malal hua
ashk aae to ji bahaal hua

phir se bujhne lagi hai binai
phir teri did ka sawal hua

ek zara chand ke ubharne se
dekh suraj ka rang lal hua

kitne logon se milna-julna tha
KHud se milna bhi ab muhaal hua

hum ne mazi ka har waraq palTa
hum ko har baat par malal hua

hum to Tuk dekhte rahe us ko
raegan lamha-e-visal hua

dard ashaar mein utar aaya
log kahne lage kamal hua