zabt-e-gham mushkil hai aur mushkil hai mushkil ka jawab
naseh-e-mushfiq tere bas ka nahin dil ka jawab
aaine mein dekhte hain husn-e-kaamil ka jawab
koi puchhe kya wo denge jazba-e-dil ka jawab
alwidaa kah kar jo dete hain mere dil ka jawab
aa paDi mushkil ki kya ho aisi mushkil ka jawab
KHak-e-parwana ho shayad zabt-e-kaamil ka jawab
shama ho sakti hai kab mere bujhe dil ka jawab
ai mere jazb-e-mohabbat teri ye be-tabiyan
aur KHamoshi hi KHamoshi jaan-e-mahfil ka jawab
ek sawal-e-shauq par us ne hamein ghayal kiya
hashr ke din dekhna hai kya ho qatil ka jawab
naghmagi inkar ki bhi hai surur-afza magar
ab kahan hai lan-tarani husn-e-kaamil ka jawab
un se aankhen chaar kar ke 'taj' main khoya gaya
ek bhari mahfil mein be-KHud kar gaya dil ka jawab
Ghazal
Zabt-e-gham mushkil hai aur mushkil hai mushkil ka jawab
Zahiir Ahmad Taaj