اردو हिंदी
Zabt-e-fughan se aa gai honTon pe jaan talak | Shaahi Shayari
zabt-e-fughan se aa gai honTon pe jaan talak

Ghazal

Zabt-e-fughan se aa gai honTon pe jaan talak

Shola Aligarhi

;

zabt-e-fughan se aa gai honTon pe jaan talak
dekhoge mere sabr ki taqat kahan talak

ghaflat-shiaraha ke taghaful kahan talak
jita rahega kaun tere imtihan talak

wo meri aarzu thi jo ghuT ghuT ke rah gai
wo dil ki baat thi jo na aai zaban talak

gulshan mein aa ke tum to ajab haal kar gae
bhule hue hain murgh-e-chaman aashiyan talak

pamal karne KHak uDane se faeda
aise chalo ki mera miTa do nishan talak

yaad aae chhuT ke dam se sayyaad ke karam
pahuncha do mujh ko koi mere mehrban talak

'shola' ke baad KHatm hai ijad-e-tarz-e-nau
kuchh lutf tha suKHan ka usi KHush-bayan talak