zabt apna shiar tha na raha
dil pe kuchh iKHtiyar tha na raha
dil-e-marhum ko KHuda baKHshe
ek hi gham-gusar tha na raha
aa ki waqt-e-sukun-e-marg aaya
nala na-KHush-gawar tha na raha
un ki be-mehriyon ko kya malum
koi ummid-war tha na raha
aah ka e'tibar bhi kab tak
aah ka e'tibar tha na raha
kuchh zamane ko sazgar sahi
jo hamein sazgar tha na raha
ab gareban kahin se chaak nahin
shughl-e-fasl-e-bahaar tha na raha
maut ka intizar baqi hai
aap ka intizar tha na raha
mehrban ye mazar-e-'fani' hai
aap ka jaan-nisar tha na raha
Ghazal
Zabt apna shiar tha na raha
Fani Badayuni