zabanen chup rahen lekin mizaj-e-yar bolega
ki tu ba-zarf hai kitna tera kirdar bolega
nai naslon ko kis ne kya diya hai dekhiye lekin
mere ashaar mein tahzib ka mear bolega
wo jis ne khae hain dhoke mohabbat kar ke apnon se
wahi to KHun ko pani gulon ko KHar bolega
jahan sach baat kahne ka ho matlab jaan se jaana
usi mahfil mein bas apna dil-e-KHuddar bolega
wahan aamal ko apne koi jhuTla na paega
ki ye hissa badan ka jab sar-e-darbar bolega
koi mane na mane par mohabbat hi haqiqat hai
abhi main kah raha hun kal yahi aKHbar bolega
agar KHamosh kar bhi di zaban rasm-e-mohabbat mein
sar-e-mahfil magar 'shayan' ka kirdar bolega
Ghazal
Zabanen chup rahen lekin mizaj-e-yar bolega
Shayan Quraishi