zaban rakhta hun lekin chup khaDa hun 
main aawazon ke ban main ghir gaya hun 
mere ghar ka daricha puchhta hai 
main sara din kahan phirta raha hun 
mujhe mere siwa sab log samjhen 
main apne aap se kam bolta hun 
sitaron se hasad ki intiha hai 
main qabron par charaghan kar raha hun 
sambhal kar ab hawaon se ulajhna 
main tujh se pesh-tar bujhne laga hun 
meri qurbat se kyun KHaif hai duniya 
samundar hun main KHud mein gunjta hun 
mujhe kab tak sameTega wo 'mohsin' 
main andar se bahut TuTa hua hun
        Ghazal
Zaban rakhta hun lekin chup khaDa hun
Mohsin Naqvi

