zaban pe nala-o-fariyaad ke siwa kya hai
hamare dil mein teri yaad ke siwa kya hai
udhar to rang hai masti hai shadmani hai
idhar bas ek dil-e-nashad ke siwa kya hai
jo dekhiye to udhar sau jahan hain aabaad
idhar ek aalam-e-barbaad ke siwa kya hai
KHizan ki fikr na ab intizar-e-fasl-e-bahaar
chaman mein shikwa-e-sayyaad ke siwa kya hai
hai ek zat pe iman aur yaqin markuz
sab aur kufr ke ilhad ke siwa kya hai
hamara nam-o-nasab puchhne se kya hasil
misal-e-aba-o-ajdad ke siwa kya hai
ye aarzu hai ki tamir ho makan 'rizwan'
abhi zamin pe buniyaad ke siwa kya hai
Ghazal
Zaban pe nala-o-fariyaad ke siwa kya hai
Rizwanur Raza Rizwan