zaban pe harf to inkar mein nahin aata
ye marhala hi kabhi pyar mein nahin aata
khulega un pe jo bainassutur paDhte hain
wo harf harf jo aKHbar mein nahin aata
samajhne wale yaqinan samajh hi lete hain
hamara dard jo izhaar mein nahin aata
ye KHandan hamara bikhar gaya jab se
maza hamein kisi tyauhaar mein nahin aata
hamare haq mein to wo chand aur suraj hai
bahut dinon se jo didar mein nahin aata
kamal ye hai ki hum KHwab dekhte hi nahin
ki KHwab dida-e-bedar mein nahin aata
hamara sher samajhne ki kuchh to koshish kar
ye kya nawishta-e-diwar mein nahin aata
qalam ki kaT to talwar se bhi baDh kar hai
magar shumar ye hathiyar mein nahin aata
wo apna zauq baDhaen agar maza un ko
rauf 'KHair' ke ashaar mein nahin aata
Ghazal
Zaban pe harf to inkar mein nahin aata
Rauf Khair

