zaban par shikwa-e-dar-o-rasan laya nahin jata
jo apna haal hai duniya ko dikhlaya nahin jata
baDi mushkil se milta hai junun-e-ashiqi yaro
jise pa kar KHirad ki god mein jaya nahin jata
raza-e-dost mein kuchh in-o-an baqi nahin rahta
mohabbat ka koi farman Thukraya nahin jata
kisi se zilm-e-be-ja ki shikayat ho to kyunkar ho
sitam ye hai ki apna dil bhi apnaya nahin jata
jafa-pesha hasinon se wafa ki kya tawaqqo hai
magar dil ko kisi unwan samjhaya nahin jata
KHirad ki baat se aage tayyun se bahut baala
tasawwur aap kar bhi len to wo aaya nahin jata
hazaron bar musa tur par jaen to kya hasil
ye wo jalwa hai jo har bar dikhlaya nahin jata
wahan pahuncha KHuda ka ek banda aan-e-wahid mein
jahan insan kya insan ka saya nahin jata
'nazar' ki ek jumbish par mata-e-hosh luTti hai
jo is manzil mein khoya hai use paya nahin jata
Ghazal
Zaban par shikwa-e-dar-o-rasan laya nahin jata
Nazar Barni