zaban par sabhi ki baat hai faqat sawar ki
kabhi to baat bhi ho palki liye kahaar ki
gulon ko titliyon ko kis tarah karega yaad wo
ki jis ko fikr raat-din lagi ho rozgar ki
bigaD ke jis ne pa liya tamam lutf-e-zindagi
nahin sunega phir wo baat koi bhi sudhaar ki
wo KHush rahe ye soch kar sada main haarta gaya
kisi ke sath jab laDi laDai aar-par ki
jise bhi dekhiye use wo toD kar hi hai baDha
kahan rahin hain desh mein zaruraten qatar ki
tujhe paDha hamesha main ne apni band aankhon se
ye dastan hai nazar pe raushni ke war ki
chaDhe jo is qadar ki phir kabhi utar nahin sake
talash zindagi mein hai mujhe usi KHumar ki
Ghazal
Zaban par sabhi ki baat hai faqat sawar ki
Neeraj Goswami