اردو हिंदी
Zaban par aah rahi lab se lab kabhu na mila | Shaahi Shayari
zaban par aah rahi lab se lab kabhu na mila

Ghazal

Zaban par aah rahi lab se lab kabhu na mila

Mazaq Badayuni

;

zaban par aah rahi lab se lab kabhu na mila
teri talab to mili kya hua jo tu na mila

badal ke rup mila waza-e-amiyana mein
libas-e-KHas pahan kar wo KHub-ru na mila

wo aarzu se mila jab kuchh aarzu na rahi
na jab talak gai milne ki aarzu na mila

piyala ru-ba-ru aae to ashk-e-KHun na baha
sharab-e-nab mein ai chashm-tar lahu na mila

suna de saqi-e-dauran ko nala-ha-e-'mazaq'
sipihr-e-KHak mein maston ki haw-hu na mila