zaban kuchh aur kahti hai nazar kuchh aur kahti hai 
ba-zahir ye tawajjoh chaara-gar kuchh aur kahti hai 
zamana naghma-pairai ka jab aaega aaega 
abhi to shiddat-e-soz-e-jigar kuchh aur kahti hai 
bhala aap aur iKHfa-e-haqiqat ai maaz-allah 
zaban-e-KHalq jhuTi hai agar kuchh aur kahti hai 
koi kis tarah dhoka khae is aatish-bayani ka 
udasi teri ai sham-e-sahar kuchh aur kahti hai 
isi tashKHis par itra raha tha ek muddat se 
masiha dekh nabz-e-bahr-o-bar kuchh aur kahti hai 
teri azmat ka munkir tha na hun ai rahbar-e-kaamil 
ab is ko kya karun main rahguzar kuchh aur kahti hai 
bharam 'yaqub' khulne hi ko hai ab aasmanon ka 
zamin se gardish-e-shams-o-qamar kuchh aur kahti hai
        Ghazal
Zaban kuchh aur kahti hai nazar kuchh aur kahti hai
Yaqoob Usmani

