zaban ko zaiqa-e-sher-e-tar nahin milta
baDha hai zor zaban mein asar nahin milta
KHud apne haal ki koi KHabar nahin milti
koi bhi jazba-e-dil-e-moatabar nahin milta
sabhi hain khoi hui manzilon ki gard mein gum
safar bahut hai maal-e-safar nahin milta
jo dasht mein the wo begana-e-KHalaiq the
jo shahr mein the unhen apna ghar nahin milta
ajib taur hain ab kar-gah duniya ke
ghurur-e-ishq jawaz-e-hunar nahin milta
bayan-e-shauq-e-safar ahl-e-dard ka hai bahut
magar nishan sar-e-rahguzar nahin milta
faragh-e-dil nahin ab ku-e-gul-e-ruKHan mein kahin
ki zaKHm koi yahan kargar nahin milta
dayar-e-shauq mein ya kucha-e-malamat mein
kahin bhi 'baqar'-e-ashufta-sar nahin milta

Ghazal
Zaban ko zaiqa-e-sher-e-tar nahin milta
Sajjad Baqar Rizvi