zaban ko hukm hi kahan ki dastan-e-gham kahen
ada ada se tum kaho nazar nazar se hum kahen
jo tum KHuda KHuda kaho to hum sanam sanam kahen
ki ek hi si baat hai wo tum kaho ki hum kahen
mile hain tishna mai-kashon ko chand jam is liye
kahen na haal-e-tishnagi kahen to kam se kam kahen
sitamgaran-e-sada-dil ye baat jaante nahin
ki wo sitam-zarif hain sitam ko jo karam kahen
subu ho mere hath mein to kasa-e-gadagari
jo tum uTha lo jam to log jam-e-jam kahen
'shamim' wo na sath den to mujh se tai na ho saken
ye zindagi ke raste ki zulf-e-KHam-ba-KHam kahen
Ghazal
Zaban ko hukm hi kahan ki dastan-e-gham kahen
Shamim Karhani