zaban ko apni gunahgar karne wala hun
KHamosh rah ke hi izhaar karne wala hun
main karne wala hun har KHair-KHwah ko mayus
abhi main jurm ka iqrar karne wala hun
chhupani chahiye jo baat mujh ko duniya se
usi ka aaj main izhaar karne wala hun
wo jis ke baad mujhe kuchh nahin Daraega
wo inkishaf sar-e-dar karne wala hun
machi hai khalbali aisi nazar ke aangan mein
ki jaise main tera didar karne wala hun
haya ke rang se gulzar ho gaya chehra
pata hai us ko ki main pyar karne wala hun

Ghazal
Zaban ko apni gunahgar karne wala hun
Subodh Lal Saqi