zaban KHamosh rahe tark-e-muddaa na kare
ye iltija bhi nahin kam ki iltija na kare
main nang-e-ishq samajhta hun zindagi ke liye
wo dil jo gardish-e-dauran ka samna na kare
dila rahi hai yaqin-e-wafa mujhe wo nazar
ye baat aur hai har ek se wafa na kare
use bahaar ki ranginiyan nasib na hon
chaman mein rah ke chaman ka jo haq ada na kare
kabhi kabhi ye bina-e-karam bhi hoti hai
jafa-e-yar se andaza-e-jafa na kare
musibaton se nikharta hai ishq ai 'shair'
dua ko hath bhi uTh jaen to dua na kare
Ghazal
Zaban KHamosh rahe tark-e-muddaa na kare
Shaer Fatahpuri

