اردو हिंदी
Zaban karti hai dil ki tarjumani dekhte jao | Shaahi Shayari
zaban karti hai dil ki tarjumani dekhte jao

Ghazal

Zaban karti hai dil ki tarjumani dekhte jao

Sufi Tabassum

;

zaban karti hai dil ki tarjumani dekhte jao
pukar uTThi hai meri be-zabani dekhte jao

kahan jate ho ulfat ka fasana chheD kar Thahro
pahunchti hai kahan ab ye kahani dekhte jao

teri zalim mohabbat ne jise bad-nam kar Dala
usi mazlum ki ruswa jawani dekhte jao

sunata hai koi mahrumiyon ki dastan sun lo
ujaDti hai kisi ki zindagani dekhte jao

wo jis ki dil-nashin nazron mein dekhi thi hansi tum ne
usi ke aansuon ki KHun-fishani dekhte jao