zaban ka zawiya lafzon ki KHu samajhta hai
main us ko aap pukarun wo tu samajhta hai
main us ki bazm mein bhi sarfaraaz rahta hun
mera nasab meri azmat adu samajhta hai
munafiqat se azizon ko zer karta hai
aur us mein apni baDi aabru samajhta hai
suKHan ke harf pe rakhta hai harf-e-jaan ka madar
haya ko aankh ki durd-e-subu samajhta hai
rafugaran mere zaKHm-e-ana se aajiz hain
ki mere KHun ki tezi rafu samajhta hai

Ghazal
Zaban ka zawiya lafzon ki KHu samajhta hai
Shehpar Rasool