zaban hai magar be-zabanon mein hai
nasihat koi us ke kanon mein hai
chalo sahilon ki taraf ruKH karen
abhi to hawa baadbanon mein hai
zamin par ho apni hifazat karo
KHuda to miyan aasmanon mein hai
na jaane ye ehsas kyun hai mujhe
wo ab tak mere pasbanon mein hai
saja to liye hum ne diwar-o-dar
udasi abhi tak makanon mein hai
hawa ruKH badalti rahe bhi to kya
parinda to apni uDanon mein hai
Ghazal
Zaban hai magar be-zabanon mein hai
Ameer Qazalbash