zaban-e-ghair se kya sharh-e-arzu karte
wo KHud agar kahin milta to guftugu karte
wo zaKHm jis ko kiya nok-e-aftab se chaak
usi ko sozan-e-mahtab se rafu karte
sawad-e-dil mein lahu ka suragh bhi na mila
kise imam banate kahan wazu karte
wo ek tilism tha qurbat mein us ke umr kaTi
gale laga ke use us ki aarzu karte
halaf uThae hain majburiyon ne jis ke liye
use bhi log kisi roz qibla-ru karte
junun ke sath bhi rasmen KHirad ke sath bhi qaid
kise rafiq banate kise adu karte
hijab uTha diye KHud hi nigar-KHanon ne
hamein dimagh kahan tha ki aarzu karte

Ghazal
Zaban-e-ghair se kya sharh-e-arzu karte
Mustafa Zaidi