zawiye fikr ke ab aur banao yaro
baat kaghaz pe nae Dhang se lao yaro
kar diye sard masarrat ki ghaTa ne jazbaat
ruh ko gham ki zara dhup dikhao yaro
jang aKHlaq-o-mohabbat se bhi ho sakti hai
apne dushman pe na talwar uThao yaro
jis ko har qaum ki tahzib gawara kar le
aisa dastur koi samne lao yaro
intiha nur ki aankhon mein na zulmat bhar de
raushni had se ziyaada na baDhao yaro
mera maqsad hai mulaqat gharaz kuchh bhi nahin
mujh ko utre hue chehre na dikhao yaro
manzilen zer-e-qadam jald simaT aaengi
jazba-e-'shauq' zara aur baDhao yaro
Ghazal
Zawiye fikr ke ab aur banao yaro
Shauq Salki