zawiya koi nahin hum ko milane wala
wahshat-abaad ka main tu hai zamane wala
phir wo tanhai sa bartaw purane wala
phir koi ruThne wala na manane wala
dar pe tainat rahi yun to samaat meri
lekin aaya hi nahin koi bulane wala
kya pata KHwab mein us ne mujhe dekha ki nahin
chain se soya raha mujh ko jagane wala
raat bhar gunji hai aakash mein birha ki tarang
raat bhar soya nahin bhairawi gane wala
bas isi kaam mein mashghul hai sote-jagte
kaise bhulega bhala mujh ko bhulane wala
Ghazal
Zawiya koi nahin hum ko milane wala
Subodh Lal Saqi