zat mein karb ho aur karb ka izhaar na ho
sochta hun kahin mera yahi kirdar na ho
mere aangan mein khili dhup ka asrar hai kya
uTh ke dekhun to sahi wo pas-e-diwar na ho
ji mein aati hai ki ab aise safar par niklen
unT ham-rah na ho jeb mein dinar na ho
kashtiyan kis liye sahil se bandhi rahti hain
ho na ho nile samundar mein koi ghaar na ho
Ghazal
Zat mein karb ho aur karb ka izhaar na ho
Prem Kumar Nazar