zat ki sair pe niklun meri himmat hi nahin
is bayaban se guzarne ki jasarat hi nahin
zindagi main ne qanaat ka hunar sikh liya
ab tere naz uThane ki zarurat hi nahin
koi shikwa na shikayat na sitam hai na jafa
ek muddat se teri hum pe inayat hi nahin
jab bhi milte hain chamak uThti hain aankhen un ki
aur dawa hai unhen hum se mohabbat hi nahin
dil to kya chiz hai patthar bhi pighal jae magar
jazba-e-ishq mein tere wo hararat hi nahin
apne ashkon se bana dete bayaban ko chaman
kya karen hum ko to rone ki ijazat hi nahin
mo'atabar bhi wahi arbab-e-nazar mein Thahri
jis kahani mein koi harf-e-sadaqat hi nahin
us ki yaad aai hai mat chheD mujhe baad-e-saba
tujh se phir baat karungi abhi fursat hi nahin
gulshan-e-dil pe KHizaon ka tasallut hai 'nigar'
koi KHwahish koi arman koi chahat hi nahin
Ghazal
Zat ki sair pe niklun meri himmat hi nahin
Nigar Azeem