zat ke kamre mein baiTha hun main khiDki khol kar
KHud ko main bahla raha hun apne munh se bol kar
sirf honTon ka tabassum zist ka gulzar hai
ab na duniya ko dikha ashkon ke moti rol kar
lafz ki nazuk sada par zindagi ka bojh hai
baat bhi duniya KHaride is jahan mein tol kar
ek jagah Thahre hue hain sab purane waste
apni sochon ke mutabiq zist ka mahaul kar
rasta tarik jine ki ziya barik hai
rah na jaen chalte chalte tere panw Dol kar

Ghazal
Zat ke kamre mein baiTha hun main khiDki khol kar
Rasheed Nisar