zat ka gahra andhera hai bikhar ja mujh mein
Dubti sham ke suraj tu utar ja mujh mein
ibn-e-adam hun main shahzada-e-tamir-e-hayat
tu jo bigDa ho to ai waqt sanwar ja mujh mein
phir se ek shakl nai tujh ko ata kar dunga
ai meri zist kisi roz tu mar ja mujh mein
aae aur bit gae kitne hi sawan lekin
koi jazba koi baadal nahin garja mujh mein
saKHt-jaani pe meri karti hai duniya hairat
zindagi apna koi zahr hi bhar ja mujh mein
teri pairahan-e-alfaz se tazin karun
ai mere karb zara der Thahar ja mujh mein
ruh ka dasht hun sahra-e-taKHayyul hun main
har taraf ek udasi hai guzar ja mujh mein
ye sada-e-pas-e-anfas ka parda kab tak
tu kahin hai to taDap aur ubhar ja mujh mein
rang hun git hun naghma hun main KHushbu hun 'shakil'
zist hi zist hai bikhri hui har ja mujh mein
Ghazal
Zat ka gahra andhera hai bikhar ja mujh mein
Shakeel Mazhari