zalim ye KHamoshi beja hai iqrar nahin inkar to ho
ek aah to nikle toD ke dil naghme na sahi jhankar to ho
har sans mein sadha naghme hain har zarre mein lakhon jalwe hain
jaan mahw-e-rumuz-e-saz to ho dil jalwa-gah-e-anwar to ho
shaKHon ki lachak har fasl mein hai saqi ki jhalak har rang mein hai
saghar ki khanak har zarf mein hai maKHmur to ho sarshaar to ho
kyunkar na shab-e-mah raushan ho kyun subh na daman chaak kare
kuchh wasf-e-rumuz-e-husn to ho kuchh sharh-e-jamal-e-yar to ho
sine mein KHataen muztar hain inam ka wo iqrar karen
mansur hazaron ab bhi hain ai 'josh' sile mein dar to ho
Ghazal
Zalim ye KHamoshi beja hai iqrar nahin inkar to ho
Josh Malihabadi