اردو हिंदी
Zalim tere wadon ne diwana bana rakkha | Shaahi Shayari
zalim tere wadon ne diwana bana rakkha

Ghazal

Zalim tere wadon ne diwana bana rakkha

Aziz Hyderabadi

;

zalim tere wadon ne diwana bana rakkha
sham-e-ruKH-e-anwar ka parwana bana rakkha

sabza ki tarah mujh ko is gulshan-e-alam mein
apnon se bhi qismat ne begana bana rakkha

taqlid ye achchhi ki saqi ne mere dil ki
TuTe hue shishe ka paimana bana rakha

dawa teri ulfat ka kahne mein nahin aata
ghairon nai magar is ka afsana bana rakkha

afsos na ki dil ki kuchh qadr 'aziz' afsos
kaba tha use tu ne but-KHana bana rakkha