zalim se mustafa ka amal chahte hain log
sukhe hue daraKHt se phal chahte hain log
kafi hai jin ke waste chhoTa sa ek makan
puchhe koi to shish-mahal chahte hain log
sae ki mangte hain rida aaftab se
patthar se aaine ka badal chahte hain log
kab tak kisi ki zulf-e-pareshan ka tazkira
kuchh apni uljhanon ka bhi hal chahte hain log
bar-e-gham-e-hayat se shane hue hain shal
ukta ke zindagi se ajal chahte hain log
rakhte nahin nigah taqazon pe waqt ke
talab ke baghair kanwal chahte hain log
jis ko bhi dekhiye hai wahi dushman-e-sukun
kya daur hai ki jang-o-jadal chahte hain log
darkar hai najat gham-e-rozgar se
mirriKH chahte hain na zuhal chahte hain log
'ejaz' apne ahd ka main tarjuman hun
main jaanta hun jaisi ghazal chahte hain log
Ghazal
Zalim se mustafa ka amal chahte hain log
Ejaz Rahmani