zalim mere jigar kun kare kyun na phank phank
sikha hai wo nigah ka paTa aur ada ka bank
pothi KHayal-e-yar ki aai hai jab sin hat
dil ke waraq pe tab seti likhta hun gham ki aank
angushtari kun dil ki banaya hun nazr-e-yar
laKHt-e-jigar ke lal kun ulfat ka dekh dank
aata hai yaad phul ke dekhe sin gul-badan
aashiq ka chhilti hai jigar bulbulon ki hank
jaan-e-jahan ka zauq agar hai tujhe 'siraj'
pinhan nigah-e-ghair sin parde mein dil ke jhank
Ghazal
Zalim mere jigar kun kare kyun na phank phank
Siraj Aurangabadi