zaiqe paida tabiat mein lachak karte hain
aa tujhe waqif-e-qand aur namak karte hain
aao chalte hain jahan sazish-e-ahbab na ho
dushmani ka ye safar dosti tak karte hain
wo jo insan ke hi bas mein hai us par insan
jaane kis munh se shikayat-e-falak karte hain
khulne hi wala hai bas andhi aqidat ka bharam
hum se kuchh log bahut chhan-phaTak karte hain
shirk to KHwab mein bhi hum se nahin ho sakta
hum to ya-rab teri qudrat pe bhi shak karte hain

Ghazal
Zaiqe paida tabiat mein lachak karte hain
Mannan Bijnori